'दिखावा' एक लघु कहानी ब्लॉग है। यह एक प्रयास है समाज को आइना दिखाने का। ' दिखावा ' मुख्या उदेशय लोगो को अंतकरण मै झाकने के लिए प्रेरित करना है

Thursday 15 February 2018

Aur kitni zainab

No comments :



vo panch din maano hazaro saal the
har pal ha kisi ke pas naye sawaal the
par har sawal ka javaab bus la-javab tha
puchta tha har koi, har gali se  tera pataa 
par koi rasta mud kar javab na deta tha
us raat ammi ro ro kar duhai deti rahi
teri kanch ki churiyo ko je bahr dekhti rahi
vo gulabi rang tha tera manpasand
dekhkar teri kitabe dil par chata tha ranj
abba laaye the naya khilona albela
sochte the ke bus abhi aa jayegi tu
bhai kahta raha ke ab aogi to har baat manega teri
jis tofee choclate ke liye ladti thi se jee bhar ke dunga
ab lagne laga tha duayo ka rang bhi feeka
tum aai lekin saanse harkar aai
tum aai magar ansua ka sailaab lekar aai
tum aai magar ik inqulaab lekar aai
tum aai magar maa ka dil cheerkar aai
tum aai magar beharam duniya ka sar jhuka kar aai
tum aai zainab magar jaane ke liye  aai
khuda kare ke zainab ko insaaf mile
bus itna insaaf or yakeen mile
ke dubara koi zainab na bane ab




No comments :

Post a Comment